शुक्रवार, 25 जनवरी 2013

Depression ka ilaj in urdu in hindi

Dil ki ghabrahat yani depression ka ilaj kya hai ?
Asalme depression ki bimari fiakar, neend na aana, koi sadme ki khabar, qabz, Blued preshor ki gadbad , gais ki problem, nashili cheezon ka istemal, bhut zyada jagna ya der tak jagna, paiso ka nukasan, nai nai takniki jo bhut zyada aarm dayk hoti hain laikn ye bhi is bimari ki wajah hain.

Deprssion ka ilaj - jo depression ka shikar ho us ko himmat dilay jaiy. uske aspas ke mahol ko badal ne ki koshish karen. 

kam kaj me nuksan ya zindigi me koibhi nuksan ka malik allah he wahi fayda deta hai wahi nuksan our jab nuksan ho our insan sabar kare to us ko iska accha badla akhirat me milega ya zindgi me bhi allah iska accha badla de sakta he. is tarha ki baton se dil ko itminan milega our depression se bachna asan ho jaiga.

dimag ko sukon dene ke liye Tranquilizer our neend lane wali dawain Sadetive den. ye dawain doctor ki salah se dain. our sathi taqat ki dawain bhi den.

nazla zukam ka ilaj in urdu in hindi

coryza yani nazla zuakam
jab nak se pani behne lagta hai to us hi zukam kehte hain our isi hal me gale me nazle ka asar ho jaiy to usko nazla kehte hain.

ye bimari sardi lagne, thandi our khatti chize khane achar, sirka wghaira jesi khatti our thanddi chizon ko khane se dimag kamzor hojata hai our nazla zukam hone ka khatra ho jata hai.

Nazla zukam ka ilaj - Doctori me is bimari ka ilaj nahi paya jata hai. wais ye bimari parhez karne se 5-7 din me khud se hi sahi ho jati hai.

   nak se pani behne ki surat me our dard ki halt me Codopyrin , Apidin , Ralcidin , Caldrin bhut faydemand ho sakti hain. Doctor se ray lekar hi lain.

gale ki kharash ke liy sualeen goli choosna behtar hai.

Nazli jo Hamdar dawakhan ke  he ye bhai faydemand he.

Dimagh ko taqat dene wali cheeze jaise anda, badam, chilgoze ka istemal kare. in ke istemal se is bimari se bach ja sakta he.